Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

HELPINGSWETESGROUP - Topics
Create Your Own App Store

* HELPINGSWETESGROUP > Topics


Subject: ..@@hadise pak@@..
Replies: 18 Views: 2351

ummiruma 22.05.10 - 01:36am
Mere Aaqa Sallallahu Alehe Wassalam ne sahabakaram se irshad farmaya.
Jis sakhs ne meri ummat k fayde k liye 40 hadis yaad ki or use dusro tak pohnchaya to uska hasar ulma,fukha,sohdaon k sath hoga.or kayamat k din mere Aaqa(s.a.w)khud uski safat karayenge or iske haq men gawahi denge.or us sakhs s kaha jayega jis darwajey s chahe tu jannat me dakhil hoga.subhannallah

To ap sab logo s guzarish h agr kise b ati ho to zarur likhyega.warna dnt m there *

ummiruma 22.05.10 - 01:42am
1) Hadis:-
Talabul ilmi faridatun allah kulli muslimun wa muslima.
Tarjuma(Meaning):-
Ilme din ka hasil karna har musalman mard or orat par farz hai


allahpak ham sabko ilmedin hasil karne ki tofiq ata farmaye amin summa amin *

moin12 22.05.10 - 05:49am
Beshak, aamin, allahumma aamin, summa aamin *

ummiruma 25.05.10 - 04:33pm
2) Hadis-e-pak:-
al ilmu noor.
Meaning:-
ilm roshni hai. *

ummiruma 26.05.10 - 11:47am
3) Hadis:-
liljari haqqun

meaning:-

padosi(nabhour) ka tum pe haq hai.

(....haq do taraha k hote h
1.hukukuallahbande ka allah k liye haq like
haj,roza,namaz,etc
2.hakukullibadek
ensan ka dusre
insan p haq
like
-waldenparentska
bachho p
-bachho ka walden
p
-bhen bhai ka ,etc



isitarah humare AAQA(S.A.W)ne insab khas huqukon men padosi k huquq b batayen h

allahtallah hmen padosion k haq ko ada karne wala banaye amin summa amin
) *

ummiruma 28.05.10 - 05:13pm
4) Hadis sharif:-
latataa mannawul moat

meaning:-

mot ki tamanna(arzu,wish)na karo.


Mot ko yad karna alag hota hai or mot ki tamanna karna alag hota hai.

=Mot ki tamanna karna jaise log khete h allh humen mot dede ya khete h humen moot kyun nhi ati,etc.

=Mot ko yaad karna means marne k bad k azab ,ko jahannu ko ,naza(mot k waqt)k hal ko,azabe kabr ko, kayamat ko yad karna,etc
matlab ye hogaya k hum mot ko yad karenge to humare amal inshallah nek hojayenge.


Kaha jata h k din main mot ko 100 ya 1000tme yaad karna chahiye.


Ya allah hmen nagahani mot se bachaye.hmara iman pe khatma ho.amin summa amin *

moin12 30.05.10 - 08:28am
Aamin, allahumma aamin, summa aamin. I realy feel that allah ka sukar he ke usne muje Ummiruman jese iman vali friend di. Thanks To ALLAH. *

ummiruma 31.05.10 - 10:01am
5)
Hadis:-

almominusshifa.


Meaning:-

momin ka jhuta shifa hai.


Mere Aaqa(S.A.W)Ka fazlo karam to dekhiye unhone khediya k ek musalman agar dusre musalman ka jhuta khaye to wo uske liye shifa(faydemand,acha,wen ne 1 nt wel to overcme wth dat it cal shifa)
isse ek or bat pata chalti isse aapas men mohabbat or pyar or bhai chargi badti hai. Lekin aj kal alag hi hal h logon ka k jhuta khane s parhez karte h.ya allah hmen b momin ka jhuta nasib farma *

royal28 1.06.10 - 07:54am
Ilm hasil kro,kha tumhein cheen he kyun na jana pare.....
*

ummiruma 1.06.10 - 09:27am
6)
Hadis pak:-

Man dahika duhik

meaning:-

jo kisi par hanse ga kayamat k din uspar hansa jayega.

*

moin12 2.06.10 - 03:58pm
HADIS:1)Taklif Denewaali ChizMusalmano Ke Raaste Se HatadoMuslim2)Mazdur Ki Mazduri Pasina KhuskHone Se Pehle DedoIbn-e-Majah *

moin12 3.06.10 - 07:44pm
Jannat k 8 darwaze1) JANNATUL MAHVA2) DARUL MAQAAM3) DARUL SALAAM4) DARUL KHULD5)JANNAT-UL-ADAN6)JANNAT-UL-NAEEM7)JANNAT-UL-KASIF8)JANNAT-UL-FIRDOUS. *

ummiruma 5.06.10 - 02:02pm
7)
Hadise sharif:-

Assawalull zullun.

Meaning:-

mangna buri chis hai.

Yahan mangne ka matlab h kisi s kuch sawal karna ya kuch mangna.
E.gjaise humari itni taqat allah ne di h k hum khud kama kar kha sakte h or khila b sakte h.magr bht s log ye nahi karte balke dusron s mangte hai.jaise aj kal koi garib banta h jab k wo garib nhi hota uski itni taqat hai k wo kama kha sake to uska bhik mangna b galat hai.

allah hmen kbi esa din na dikhaye k humen kisi s sawal karna pade.ya allah hmen apna or apne meh ka mohtaj bana duniya ka mohtaj kisi ko na banana amin allahhumma amin *

ummiruma 5.06.10 - 02:13pm
8)
hadis e pak:-
Assabruddiya

meaning:-

sabr ujala hai.

Ya allah rabul izzat hum sab ko har kadam par sabr ata farma.amin summa amin *

ummiruma 5.06.10 - 02:18pm
9)
hadis:-

Allayenu haq.

Meaning:-

nazar lagna sach hai.

Allah pak tu har chis p kadir hai hum sabi ko ya karim apne karam s nazre bad s bachana.amin summaamin *

ummiruma 5.06.10 - 02:27pm
10)
hadis:-

Balligu Anni Walo Aayaat.

Meaning:-
Deen ki baat dusron tak pohnchao khua ek hi bat ho.

Humen chahiye agar hmen din ki agar sirf ek bat pata ho to wo dusro tak pohnchaye.

Allah tabarko tallah apne mehbub ka gulam karle hm sub ko.or apne deen ka kam leta rahe hum sabhon s amin summa amin *

ummiruma 8.06.10 - 01:03pm
11)
Hadis:-

Almuslimu mirasul muslim.

Meaning:-

musalman musalman ka ayena hai.

Ek musalman ko dusre musalman k liye ayena bataya gaya hai.jis tarah hum ayene men apna aks parchai dekhte h khud ko mehsus karte h.khud ko dekhte hai.isi tarah yahan sayad is hadis k khena y b hosakta hai k hum khud apna iqhlak sawarle take jab koi dusra shaks ya koi musalman use dekh kar khud ko tabdil karle.
Isse ek or bat pata chalti hai k bht s insan khud ka na bura chahenge na khud ko bura samjhenge insan apni parchai s b pyar karta h.isi tarah hadis m ek musalman ko dusre musalman k liye ayena banadiya gaya hai.
Ya allah tamam musalman ko dusre musalman ko ayena hi baney rakhna.amin summa amin *

ummiruma 26.06.10 - 09:26am
12)
hadise pak:-

almuslimu akhul muslim.

Meaning:-

musalman musalman ka bhai hai.

Mere aaq(s.a.w) ka kya pyara irshad h k ek musalman dusre musalman ka bhai hai isse ekta or bhai chargi ka pegam milta hai.allah hum tamamon men bhaichargi badhaye amin summa amin *

ummiruma 26.06.10 - 09:31am
13)
hadis:-

Addinu yusr.

Meaning:-

Deen aasan hai.


Humara deene islam bht asan or suljha hai jahan zindagi ki har bat.tarze zindagi sikhata hah islam.islam ke meaning hi aman-o-aaman hai.
Ya quddusu hum sabhon ko deene islam pe ta qayamat qayam rahe amin summa amin *


* Reply
* HELPINGSWETESGROUP Forum


Search:
topics replies


* HELPINGSWETESGROUP

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store